Rumors ke according, OnePlus 6T ko October 2018 mein launch kiye jayega, aur jaise jaise iske launch ka samay nazdeek aa raha hai, rumors ki barsaat bhi badh rahi hai. Saath hi aaj Amazon par bhi iska page live ho chuka hai, jismein ‘Notify Me’ ka option diya gaya hai.
Iske alawa Start Sports HD par first time OnePlus 6T ka advertisement bhi aaj release kiya gaya hai. Saath hi famous leakster, Roland Quandt ne bhi ye aaj OnePlus 6T ka first look Twitter post ke zariye share kiya hai. Saath hi ye bhi confirm kiya hai ki OnePlus 6T mein triple rear cameras nahin aayenge.
Iska matlab ye hai ki ye flagship smartphone dual rear cameras, Snapdragon 845 chipset aur in-display fingerprint scanner ke saath launch kiya jayega. In confirmed specs ke alawa, is handset mein 8GB tak ke RAM options aur 256GB tak ki storage aane ki ummid hai.
Is samay OnePlus 6T ko market mein lekar kaafi charcha aur excitement hai, saath hi upcoming handset ko lekar company ne bhi kaafi hype create ki hui hai. Iske first advertisement mein bhi Mega star Amitaabh Bachhan hain, jinke haath mein aap is handset ko dekh sakte hain.
Maana jaa raha hai ki is smartphone ko globally October 17 ko launch kiya jaa sakta hai. Aur India mein bhi is handset ko uske kuch hi din baad launch karne ki ummid hai. Iske predecessor OnePlus 6 ka base version 34,999 INR mein available hai. Zaahir hai ki, OnePlus 6T ki kimat isse to jyada hi hogi, ummid hai ki iska base version lagbhag 40,000 INR mein launch kiya jayega.
OnePlus 6T mein 12 + 20 MP rear cameras aane ki ummid hai aur iske front par 25 MP ka selfie snapper ho sakta hai.
Expected hai ki, is handset ko lekar aane waale samay mein aur bhi kayi rumors jaldi hi aayenge.
Comments